Sunday, December 28, 2008

Na samajh saka mujhe koi ye badi ajeeb baat hai
Aye zindagi tu hi bata de kyun tu itni udass hai
Hawayein bhi rukh badal chuki wo bahar bhi jati rahi
Tha hujum me main bhi kabhi par ab nahi koi pass hai
Dard beshumar hai main chahu agar to kis se kahun
Jo qareeb tha wahi door hai jo door hai wahi khass hai
Ummidein bhi jati rahi ab to us ke aane ki
Wahi khawab hai wahi zindagi jis ki mujhe talash hai

tera yun milna....

Uss Din Tera Yun Milna Achha Laga
Suna Suna Rasta Bhi Achha Laga

Ruk Ruk Ke Tera Bolna Achha Laga
Kitne Shikve The Apni Kismat Se

Uss Din Takdeer Ka Likha Achha Laga
Band Kar Chuka Tha Dil Ke Dhadkan Apni

Uss Din Dil Ka Dhadakna Achha Laga
Bhatak Raha Tha Andhere Ke Saaye Mein Kab Se

Andhere Mein Tera Woh Saya Achha Laga
Behta Chala Jaa Raha Tha Tha Tufaan Ke Saath Main

Uss Din Kinaare Pe Rukna Achha Laga.
Kabhi Socha Nahi Magar Yun He
Uss Din Apna Jina Mujhe Achha Laga.

Saturday, December 27, 2008

Teri Yaad...

ek muddat hui dil ko sataati rahi teri yaad
ansoo ban lahu mein ghul jaati rahi teri yaad

subah ko lalima ban chhaa jaati rahi teri yaad
dhoop mein saya ban saath chalti rahi teri yaad

dopahar ko chhaya ban taaseer dilaati rahi teri yaad
shaam ko hawa ka jhonka ban lubhaati rahi teri yaad

raat ke andhere mein jugnoo ban chamkti rahi teri yaad
aasmaan mein taaron sang tim timaati rahi teri yaad

chandani ban zamin ko nahlaati rahi teri yaad
roz khwab ban teri deed karati rahi teri yaad

garmi mein hawa ka jhonka ban aa jaati rahi teri yaad
indradhanush ke rangon mein rang jaati rahi teri yaad

sardi mein khili dhoop si chamakti rahi teri yaad
pahaadon par barf ban bichh jaati rahi teri yaad

phoolon par titali ban mandraati rahi teri yaad
hawa ko khushboo ban mahakaati rahi teri yaad

belon ko sahara ban badhaati rahi teri yaad
baagon ko bahaar ban sajaati rahi teri yaad

holi mein gulal ban rang udaaati rahi teri yaad
diwali mein chiraaj ban ujale failati rahi teri yaad

eid mein chaand ban khushiyaan lutati rahi teri yaad
christmas mein santa ban tohfe baanti rahi teri yaad

thak gaya to dil bahlaane aa jaati rahi teri yaad
chot khaayi to sahlaane aa jaati rahi teri yaad

rooth gaya to manane aa jaati rahi teri yaad
gir gaya to uthaane aa jaati rahi teri yaad

sone chala to lori sunane aa jaati rahi teri yaad
rone laga to hansaane aa jaati rahi teri yaad

jeet gaya to jashn manane aa jaati rahi teri yaad
haar gaya to samjhaane aa jaati rahi teri yaad

mahfil mein raunak ban chhaa jaati rahi teri yaad
tanhaayi mein saath nibhaane aa jaati rahi teri yaad

mere har zarra-o-katre mein basi hui hai teri yaad
meri gazal se rooh tak utar rahi hai teri yaad

maut ke baad bhi "mujhase" se na juda hogi teri yaad
khshboo ban har taraf fiza mein mahka karegi teri yaad

Wednesday, December 17, 2008

YE KAISI ZINDAGI...


Khwaab rehte the jo kabhi palkoN pe,
Moti bankar aankhoN se jhhaR gaye.

Daav par hote hain dil o jaan yahaan,
Ulfat ke ye saude mehenge paR gaye.

Dhundhle raaste, manzil bhi anjaani si..
Rukte kadam phir aage baR gaye.

Na jeet hui, na haari baazi humne..
Kabhi khudse, kabhi kismat se laR gaye.

Tuesday, December 16, 2008

KOI BAAT NAHI...


Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi